Sunday, May 10, 2009

Aisa wada na kar

Aisa wada na kar mujhse ki tu nibha na sake,
itna dur na ja ki kabhi mujh par hak jata na sake,
galatfahmiyon se na laga nafrat ki aag ,
ki caha kar bhi tu bujha na sake,
na khich dil ke aayine pe kuch aisi rekhaain jo cheara badal de,
ki apni hi surat tu dhadkano ko kabhi dikha na sake,
na baandh Zamane ke rishton main masum pyar ko tu aaj,
ki kal khud isi mohabbat ke jajbaton ko tu kuch samjh na sake
Hai dum teri nafrat main toh chod de sapno main bhi mera khayal
kahi aisa na ho ki ek pal ko bhi teri saans mujhe bhula na sake
naamo nishaan bhi na chood tu meri kisi nishaani ka apne paas
lekin wakt ke haath tere chere se mere pyaar ka nishaan mita na sake
saja diya naye rishton ki roshni ne mana tera jevan
par yadon ke lamhon ki daal se yeh mera naam mita na sake
insaan se lekar khuda tak sabne jise mitana caha
aisi mohabat ko bhulane ko hum khud ko mana na sake
na kar sharminda meri mohabbbat ko aaj
ki kal tu is ishk ko apne dil ke mahal main saja na sake

Monday, April 20, 2009

Waade

Waade bhi dost ne kya khub nibhaye,
Zakham muft mein aur dard tohfe me bhijwaye,
Jeena chahte hain magar zindagi raas nahi aati,
Marna chahte hain magar maut paas nahi aati,
Bahut udas hain hum is zindagi se,
Unki yaadein bhi to tadpane se baaz nahi aati.
mujhe peene ka shauq nahi par
maikhane ki raahein baaj nahi aati
mandiro,masjido aur girijagharon main bhi jaa ke dekha
par yeh badnasebi baaj nahi aati
mujhe malum hai ki lad raha hu waqt ke saath main
par kya karu purani aadatein baaj nahi aati
jeetne ke liye ladte hai sab par hum toh jetaaney ke liye ladte hai
kya karen dusro ko khush karne ki aadat baaj nahi aate
jindagi bhi ek din tadap ke boli kyon jee raha hai tu
par kya karein yeh maut sata ne se baaj nahi aati

Duniya ke mele

Chal pade the duniya ka mela dekhne
khud uska hissa ban kar reh gaye
kisse ab aap ko kya sunaaye
hum toh khud kissa ban kar reh gaye…
Suna hai log pujte hai patther ko,
Is liye dil apna patther bana liya...
mandir toh humnara bhi ban gaya
par woh nastiko ka gaon nikala...
manat maangi humne jindagi ki
aur usne maut se humein mila diya...
maut ne bhi yeh keh diya
ki main do baar nahi aati kisi ki jindagi main
tu toh pehle hi jindagi ke hathon mar chuka hai
agar naseeb milta bazaaron main,toh hum khareed bhi lete
par yeh toh band hai kuch logon ki tijoriyon main
Chal pade the duniya ka mela dekhne
khud uska hissa ban kar reh gaye

Maikhana aur uska intejaar

Mujhe aur pene do ki jaam abhi aadha hai
raat ko apne sawaab par aane do ki intezaar kisi ke aane ka hai
jaam khaali hone na paye,yeh raat kahi beet na jaaye
koi mere yaar ko khabar karo ki humein intejaar uske aane ka hai
is raat ki tanhaai ko aur mat badao
apne chaane walon ko youn na tarsao
jhalak teri ek kaafi hai nasha utarne ko
ki is maikhane ki izzat youn na girao
logon ne maikhaane ko youn hi kiya hai badnaam
yeh toh aasra hai gumon ke maron ka
ek jaam abhi aur uthao,ek baar usko aur bulao
ki abhi maikhaane main sharab aur baaki hai......

Wednesday, April 8, 2009

hum hai joshiley

hum hai joshiley
jo bhi karte hai karte hai hosh main
samne hamare jo aaye bach kar woh na ja pae
humse na lena panga hum toh karte hai danga
hum hai joshiley
jo bhi karte hai karte hai hosh main
dar jaisi koi cheez nahi
hum ko diniya ki fikr nahi
duniya hamaare kadmo main
hum toh kai lakhon main
hum hai joshiley
jo bhi karte hai karte hai hosh main
humne haarna seekha nahi
humne jhukna jaana nahi
phaadon main raasta banaya karte hai
har muskil se muskil kaam ko chukti main karte hai
hum hai joshiley
jo bhi karte hai karte hai hosh main

youn toh sab kuch hai mere paas

youn toh sab kuch hai mere paas aaj
par na jaane phir kyon teri kami hai
youn toh jinda hu main
phir bhi jindagi ki kami hai
jeene ki khwahish toh karte sabhi hai
hum toh marne ki dwaa maangte hai
yaar mera khush rahe haar saas kehti hai
cahe gum se humari jholi bharti rahe
youn toh peete hai sabhi jaam se
hum toh maikhane main seedhe bottle ko chuma karte hai
mandir jaate hai log kuch maangne
hum toh upar wale se sart lagane jate hai
is saal bhi log holi jalange
bas hamara ghar sunsan reh jayga
youn toh hum bhi jalaynge holi
bas lakdi ki jagh apna dil hoga.

matlab ki hai duniya

matlab ki hai duniya
matlabi log yaha
apne hi dokha dete hai ,
gair toh phir bhi sabhal liya karte hai.
chal pe chal chalte hai
satranj ka khel bana dete hai jindagi ko log yaha.
kis pe bharosa kare kis pe na kare
jindagi ko is uljhan main daal dete hai log yaha
log istemall karte hai tumhara
insaan ko bajaru cheej bana dete hai log yaha
pyaar ko paise se tolte hai
har jajbaat ki kimat lagate hai log yaha
chere ki khubsurti dekhte hai
dil ki achai kaha dekhte hai log yaha
jab tak jarurat hai bhagwaan ho tum
kaam nikalne pai jinadagi se nakal dete hai log yaha
hum hai jo kisi ki yaad main rote hai
aur jindagi se nikal ke haste hai log yaha.